Sabse Aula Wo A'ala Hamara Nabi
Sabse Baala Wo Waala Hamara Nab
Sabse Baala Wo Waala Hamara Nab
Apne Maula Ka Pyara Hamara Nabi
Dono A'alam Ka Dulha Hamara Nabi
Dono A'alam Ka Dulha Hamara Nabi
Bujh Gayi Jiske Aage Sabhi Mashaley
Shama'a Woh Le Kar Aaya Hamara Nabi
Jiske Talwon Ka Dhovan Hai Aabe Hayaat
Hain Wo Jaane Maseeha Hamara Nabi
Hain Wo Jaane Maseeha Hamara Nabi
Jaise Sab Ka Khuda Aik Hai Waise Hi,
Inka Unka Tumhara Hamara Nabi
Inka Unka Tumhara Hamara Nabi
Kaun Deeta Hain Dene Ko Muh Chahiye
Deene Waala Hai Sachha Hamara Nabi
Deene Waala Hai Sachha Hamara Nabi
Kya Khabar Kitne Taare Khile Chup Gaye
Par Na Doobe Na Dooba Hamara Nabi
Par Na Doobe Na Dooba Hamara Nabi
Sab Chamak Waale Ujhlo Me Chamka Kiye
Andhe Sheesho Mein Chamka Hamara Nabi
Andhe Sheesho Mein Chamka Hamara Nabi
Gamzado Ko Raza Mushda-Di-Je Ke Hain
Be-Kasoon Ka Sahara Hamara Nabi
Comments
Post a Comment