Sabse Aula Wo A'ala Hamara Nabi Sabse Baala Wo Waala Hamara Nab Apne Maula Ka Pyara Hamara Nabi Dono A'alam Ka Dulha Hamara Nabi Bujh Gayi Jiske Aage Sabhi Mashaley Shama'a Woh Le Kar Aaya Hamara Nabi Jiske Talwon Ka Dhovan Hai Aabe Hayaat Hain Wo Jaane Maseeha Hamara Nabi Jaise Sab Ka Khuda Aik Hai Waise Hi, Inka Unka Tumhara Hamara Nabi Kaun Deeta Hain Dene Ko Muh Chahiye Deene Waala Hai Sachha Hamara Nabi Kya Khabar Kitne Taare Khile Chup Gaye Par Na Doobe Na Dooba Hamara Nabi Sab Chamak Waale Ujhlo Me Chamka Kiye Andhe Sheesho Mein Chamka Hamara Nabi Gamzado Ko Raza Mushda-Di-Je Ke Hain Be-Kasoon Ka Sahara Hamara Nabi
Assalaamualaikum Warahmatullahi Wabarkaatuhu, Mohatram Hazrat Yeh Blog Maine Khas Taur Par Naat Ki Lyrics Upload Karne Ke Liye Banaya Hai, Jisme Hindustaan Ke Jitney Shayar Hain Unke, Aur Iske Alawa Deegar Mulk Ke Shayaron Ke Padhe Hue Mash'hoor Kalam Ki Lyrics InshaALLAH Is Blog Mein Upload/Post Ki Jayegi... Aap Sabhi Hazrat Se Guzarish Hai Ki Aap Tamami Hazraat Hamare Is Blog Ko Subscribe Karein Or Naate Rasoolallah Sallahu Taa'la Alaihi Wasallam Ke Ash’Aar Gun’Gunaiye